Ram Navami kab aur kaise manae jae is 2020 mai


Vishesh Jankari About Ram Navami

Kyo Manaya jata hai: Is din Marayada Purshottam Shri Ram Ka janam hua tha. 
Thithi: Chaitra Shukal Ki Navami
Is saal kab manae: 2nd April,2020
Shubh Muhrat: 11:15 a.m. - 1: 45 p.m.
Kya Bhog Lagae: Faal, Phool Aur Kheer

Ram Navami hinduo ke mukya tyoharo mai se ek tyohar hai. Issi din Chaitra Navaratri ki samapti bhi hoti hai, isliye is din ki manyata aur bhi bhad jati hai.
Log is din vrat bhi rakhte hai. Mana jata hai is din jo pavitra nadi mai nahata hai uske sare paap uthar jate hai aur bahut punya ki prapti hoti hai.
Is varsh Covid-19 ki vajah se hum nadi mai dupki to nahi laga paege par hum ek kaam jarur kar sakte hai wah hai ki hum nahate samay Ganga Jal se jarur snaam kar sakte hai aur punya ki prapti pa sakte hai.

Puja Ki Vidhi

            

Sab se pehle khud naha le aur phir Ramji ki murti ya photo sthapit kare. Phir bhagwan ko snaan karwae aur phulo se sajae. Kamal ka phool bhagwan ka priya hai kyo ki Ramji Vishnuji ke avtaar hai, ho sake to bhagwan ko Kamal ka phule arpan kare.
Phir vidhi vidhan se saache maan se puja archana kare. Ramji ko jhula aavashya jhulae. Kheer jo bhagwan ki priya hai usme tulsi ka patta dalkar dusre phalo ke sath chadae.
Puja samapth hone ke baad ghar ki sabse choti mahila sabhi bhakto ke mathe par tilak lagae aur kheer ka prashad bate.
Kaha jata hai prashad jitna batate hai utni zyada taraki aur saphalta milti hai.

Ram Navami ke din kya kare
  • Ramayan ka path
  • Ram Raksha Shrot
  • Bhajan Kirtan
Pramukh Bhajan
Amritvani

Kabhi Ram Banke Kabhi Shyam Banke


Hey Ram .. Hey Ram
 

Shri Ram Jai Ram Jai Jai Ram


Shree Ram Ki Kripa Se Sab Kaam Ho Raha Hai


Yaha bhi mana jata hai ki Tulsidas ne Ram Charitramanas ki rachna bhi issi din shuru ki thi.

Aasha karti hu sabhi is pavan parv ko bahut hi dhum dhaam se vidhi purvak manae. Aur agar mare di gae jankari agar apko pasand aae to comment box mai Jai Shree Ram Likhe. 

जय श्री राम 
                    जय श्री राम 
                                        जय श्री राम 
                                                           जय श्री राम 

Comments

Post a Comment

Umeed karti hu, upar batae hui jankari apke kaam aae hogi. Mai jald hi apse judungi.....

Popular posts from this blog